Ek Soch

Ek taraf hain roshni ek tarf hain ujjyaala
Dooji taraf hain bechaini chaaya hain andhiyaara
Dekh rahe hain raah kahin baitte door kinaara,
Pooch nahi sakte kabhi aapas me koi sahara

Pata nahi kyon unhone aapaas me dilhaara
Kyon mud gaye phir woh jab dil ne yoon pukaara
Tamanna thi dil me jeeyenge saath me vo sadaa
Par samaj na sakha man tabhi tha ye jhoot badaa
Aaj samay ke us taraf woh jaake hain  khadaa
Rangeen parichayiyon ko peechey chod woh sadaa

Jeevan ek chakra hain ghoomtha hain yoon
Woh bhi chal pada na pooche kisliye aur kyon
Ek manzil chooti tho khoya usne hain kya
Saamne dekhe chal kar aur bhi hain kya

Char Raahien milengi Jabhi, rukhega woh jaroor
Saat koi na paake ho jayega woh majboor
Abhi bhi na kuch hua, jaa tham le uska haath
Zindagi hogi rangeen phir se karle baath

 

Holi Hi Holi

Ek Boondh Paani Ka Na dikha
Ek Badal Rang Ka Na Chilkha…
Taras Gayi Aankhey dekhney ko kuch Rang
Intezaar Karoo ki aaaye bulaaye mujhe koi sangh
Ye Doston.. Ye Mitron.. Bulalo hame koyi..
Taras raha hain man khelne ko holi..

Do Glass Bhaang ka Pilaa de Koi..
Pyaar se hum bhi dengey Dua Kai..
Kahan Ho Vineet, Shiva aur Sashi.
saat me le aana Kishore, Karthik aur Ravi
Doston ke saath jab hogi Baat aur Boli..
Tabhi Khelengy dil aur jaan se hum holi.

Dilhaare

Waqton ke badaltey roop ke saath gaya tha main kho
Ghum Gaya tha raahon main chaltey JO..
Yaad dilaayi tumne phir se woh Lamhe..
Yaadon me ghuma karthey they tumhaare..
Haan sach hain hum hain tum pe Dilhaare !!!